Saturday, 13 December 2014

IMAM ZAIN-ul-ABIDEEN(A.S):

IMAM ZAIN-ul-ABIDEEN(A.S):
Aye Adam ka betay! Tu... Tu GHAFLAT ikhtiyar karta hai halaan-k (ALLAH KI JANIB SE) tujh se ghaflat nahin ikhtiyar ki jati!
Yaqeenan teri MAUT har cheez se zayada tezi se teri taraf barh rahi hai, wo teri talash mein hai, aur qareeb hai k wo tujh tak aa pohnchay!
Aur jub tujhe TANHA teri qabr ki janib le jaya jaye ga!
Tou (agar tum ne QABR mein jawab denay ki tayyari na ki tou) tumhari zaban gung ho jaye gi! aur tum (goongay ho kar) jawab na de pao ge!
Tou phir tumhein aatish-e-dozakh ki khabar de di jaye gi!
Aur tumharay istaqbaal k liay azaab k farishtay tumhein bharaktay shoulon tak le janay k liay tumharay samnay aa jayen ge!
Aur (qabar mein sawal-o-jawab k baad) QAYAAMAT ka azeem tareen, dehshat-naak tareen, aur dilon k liay dard-naak tareen din ho ga! k Jub ALLAH tamam pehlay aur baad walon ko ikattha kar de ga!
Ye wo din ho ga jis mein SOOR phoonka jaye ga! Aur qabrain ulat palat ho jayen gi!
Ye hai "QAYAMAT" ka din! k jub (gunaahon k liay) na koi taawaan qubool kia jaye ga aur na koi tauba!
Aur jub dil SEENON se uchal kar galon mein aa rahay hon ge aur dum GHUT rahay hon ge!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...