Sunday, 21 December 2014

Bediya royeyn kabhi paon ke chale roye kaise qaidi thay jinhe qaid ke taale roye

Bediya royeyn kabhi paon ke chale roye
kaise qaidi thay jinhe qaid ke taale roye
jab suna maara gaya pani pilane wala
kaampte haton may sukhe hue pyale roye
jane kya sochke shabbir bahot dayr talak
karke baysheer ko turbat ke hawale roye
bhoolne walay tujhe kaise bataye koi
kis khadar tujhko tere chahne walay roye
bekasi baap ko le aayi hai kis manzil par
barchi bete ke kaleje se nikale roye
haye afsos ke jis waqt jale thay qaime
dayr tak shame ghariban ko ujale roye
pyase jismo may ye paywast hue jab bhi kabhi
dekh kar sookhi ragay barchiya bhaalay roye
bhai ki laash hai aur shor yateemo ka
nazeer ek behan aise may bachon sambhale roye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...